Iqbaaliyaat, by sadaf

shaaire mashriq Allama Iqbal ki shaairi, halaate zindgi aour mukhtalif falsfa haaye fikr O nazar..... blog ko baaqaaidgi se update kiyaa jaaye gaa.... aap ki araa, savaalaat aour tabsira hamaari hoasla afzaai kaa baaic ho gaa

Wednesday, March 14, 2007

Iqbal ki zaraafateiN

Allama iqbaal ko Allah ne bohat hi lateef hisse zaraaft se navaazaa thaa......
jab wo ahbaab ki mehfil meiN hote to mehfil ko kishte zafraan banaa dete,...ye alag baat k vo urdu apne siyalkot k makhsoos punjaabi lahje meiN bolte.....
aik dafa lafz par bahas ho rahi thi......k pujaabi lafz DHHOODH ( MILK) ko duddh kahte hain.....iqbaal ne poochaa keyoN nahieN kah sakte...javaab milaa, is tarah lafz ki lataaft zaaia ho jaati hai....iqbaal ne fermaayaa phir lafz KUTTA ( dod9 ko lataaft k peshe nazar ....kooootaaa... keyoN naheiN kahte????

No comments: