
Iqbaaliyaat, by sadaf
shaaire mashriq Allama Iqbal ki shaairi, halaate zindgi aour mukhtalif falsfa haaye fikr O nazar.....
blog ko baaqaaidgi se update kiyaa jaaye gaa....
aap ki araa, savaalaat aour tabsira hamaari hoasla afzaai kaa baaic ho gaa
Saturday, March 17, 2007
iqbal k saath meraa taaruf
Iqbaal k saath meraa taaruf is ghazal k saath huvaa thaa....lihaazaa aap sab ki nazr ........
gesuu-e- taabadaar ko aur bhii taabadaar kar
hosh-o-Khiraad shikar kar qalb-o-nazar shikar kar
tuu hai mahiit-e-bekaraa.N mai.n zaraa sii aabajuu
yaa mujhe ham-kinaar kar yaa mujhe be-kinaar kar
main huuN sadaf to tere haath mere gauhar kii aabaruu
main huuN Khazaf to tuu mujhe gauhar-e-shaahawaar kar
naGmaa-e-naubahaar agar mere nasiib me.n na ho
is dam e niim soz ko taairaak-e-bahaar kar
ishq bhii ho hijaab me.n husn bhii ho hijaab me.n
yaa tuu Khud aashakaar ho yaa mujh ko aashakar kar
baaG-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diyaa thaa kyo.N
kaar-e-jahaa.N daraaz hai ab meraa intazaar kar
roz-e-hisaab jab pesh ho meraa daftar-e-amal
aap bhii sharmasaar ho, mujh ko bhii sharmsaar kar
Iqbal ki hisse zaraafat

Iqbal ko aik falsafi hone k naate mahaz khushk mizaaj na samjhhaa jaaye....
wo aam si soorat ehaal se bhi bohat khoosh gawaar maahaol paidaa kar lene pe qudrat rakhhte thhe......
chooNke bunyaadi toar par punjaabi thhe, lihaazaa punjaabi mein baat karnaa pasand karte thhe...
aik dafa kisi se bahc k doraan unhoN ne poochaa...
punjaabi lafz "" dhudhh"" ( milk) ko urdu meiN duudh keyooN kahaa jaataa hai?????..
javaab milaa
is se lataafat paidaa hoti hai
Iqbal ne istifsaar kiyaa..,
toa phir...
kuttaa ( dog) , ko kuutaa keyoN naheiN kahte??????
Subscribe to:
Posts (Atom)



