Iqbaaliyaat, by sadaf

shaaire mashriq Allama Iqbal ki shaairi, halaate zindgi aour mukhtalif falsfa haaye fikr O nazar..... blog ko baaqaaidgi se update kiyaa jaaye gaa.... aap ki araa, savaalaat aour tabsira hamaari hoasla afzaai kaa baaic ho gaa

Saturday, March 17, 2007

Iqbal kaa sheen qaaf, by Ataa Ul haq qaasmi



maiN hooN sadaf toa.......


iqbal k saath meraa taaruf



Iqbaal k saath meraa taaruf is ghazal k saath huvaa thaa....lihaazaa aap sab ki nazr ........



gesuu-e- taabadaar ko aur bhii taabadaar kar

hosh-o-Khiraad shikar kar qalb-o-nazar shikar kar


tuu hai mahiit-e-bekaraa.N mai.n zaraa sii aabajuu

yaa mujhe ham-kinaar kar yaa mujhe be-kinaar kar


main huuN sadaf to tere haath mere gauhar kii aabaruu

main huuN Khazaf to tuu mujhe gauhar-e-shaahawaar kar


naGmaa-e-naubahaar agar mere nasiib me.n na ho

is dam e niim soz ko taairaak-e-bahaar kar


ishq bhii ho hijaab me.n husn bhii ho hijaab me.n

yaa tuu Khud aashakaar ho yaa mujh ko aashakar kar


baaG-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diyaa thaa kyo.N

kaar-e-jahaa.N daraaz hai ab meraa intazaar kar


roz-e-hisaab jab pesh ho meraa daftar-e-amal

aap bhii sharmasaar ho, mujh ko bhii sharmsaar kar

iqbal...khood apni nazar meiN


Duaa, by Allama Iqbal. badaste khood


Iqbal ki hisse zaraafat



Iqbal ko aik falsafi hone k naate mahaz khushk mizaaj na samjhhaa jaaye....

wo aam si soorat ehaal se bhi bohat khoosh gawaar maahaol paidaa kar lene pe qudrat rakhhte thhe......


chooNke bunyaadi toar par punjaabi thhe, lihaazaa punjaabi mein baat karnaa pasand karte thhe...

aik dafa kisi se bahc k doraan unhoN ne poochaa...

punjaabi lafz "" dhudhh"" ( milk) ko urdu meiN duudh keyooN kahaa jaataa hai?????..



javaab milaa

is se lataafat paidaa hoti hai



Iqbal ne istifsaar kiyaa..,


toa phir...

kuttaa ( dog) , ko kuutaa keyoN naheiN kahte??????

shaairi: shaairi sach bolti hai.

shaairi: shaairi sach bolti hai.

shaairi: BetiyaaN phool haiN

shaairi: BetiyaaN phool haiN

shaairi: tumheiN ham yaad karte haiN

shaairi: tumheiN ham yaad karte haiN

shaairi: bhalaa dil se koii poochhe

shaairi: bhalaa dil se koii poochhe

shaairi: haiko

shaairi: haiko

shaairi: faisle kaa pal

shaairi: faisle kaa pal

shaairi: maiN k ik aam si aorat

shaairi: maiN k ik aam si aorat

shaairi: maiN hooN sadaf toa tere haathh, by Iqbal

shaairi: maiN hooN sadaf toa tere haathh, by Iqbal

Wednesday, March 14, 2007

Iqbal ki zaraafateiN

Allama iqbaal ko Allah ne bohat hi lateef hisse zaraaft se navaazaa thaa......
jab wo ahbaab ki mehfil meiN hote to mehfil ko kishte zafraan banaa dete,...ye alag baat k vo urdu apne siyalkot k makhsoos punjaabi lahje meiN bolte.....
aik dafa lafz par bahas ho rahi thi......k pujaabi lafz DHHOODH ( MILK) ko duddh kahte hain.....iqbaal ne poochaa keyoN nahieN kah sakte...javaab milaa, is tarah lafz ki lataaft zaaia ho jaati hai....iqbaal ne fermaayaa phir lafz KUTTA ( dod9 ko lataaft k peshe nazar ....kooootaaa... keyoN naheiN kahte????

iqbal shanaasi

Iqbal bhi Iqbal se aagaah naheiN hai....................
kuchh is meiN tamaskhur naheiN! Wallah naheiN hai

hakimul ummat Allama Iqbaal ki zindgi aour shaairi par aik blog.....

aap ki aamad, aour dichaspi k liye mamnoon haiN