Iqbaaliyaat, by sadaf

shaaire mashriq Allama Iqbal ki shaairi, halaate zindgi aour mukhtalif falsfa haaye fikr O nazar..... blog ko baaqaaidgi se update kiyaa jaaye gaa.... aap ki araa, savaalaat aour tabsira hamaari hoasla afzaai kaa baaic ho gaa

Saturday, March 17, 2007

iqbal k saath meraa taaruf



Iqbaal k saath meraa taaruf is ghazal k saath huvaa thaa....lihaazaa aap sab ki nazr ........



gesuu-e- taabadaar ko aur bhii taabadaar kar

hosh-o-Khiraad shikar kar qalb-o-nazar shikar kar


tuu hai mahiit-e-bekaraa.N mai.n zaraa sii aabajuu

yaa mujhe ham-kinaar kar yaa mujhe be-kinaar kar


main huuN sadaf to tere haath mere gauhar kii aabaruu

main huuN Khazaf to tuu mujhe gauhar-e-shaahawaar kar


naGmaa-e-naubahaar agar mere nasiib me.n na ho

is dam e niim soz ko taairaak-e-bahaar kar


ishq bhii ho hijaab me.n husn bhii ho hijaab me.n

yaa tuu Khud aashakaar ho yaa mujh ko aashakar kar


baaG-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diyaa thaa kyo.N

kaar-e-jahaa.N daraaz hai ab meraa intazaar kar


roz-e-hisaab jab pesh ho meraa daftar-e-amal

aap bhii sharmasaar ho, mujh ko bhii sharmsaar kar

No comments: