Iqbaaliyaat, by sadaf

shaaire mashriq Allama Iqbal ki shaairi, halaate zindgi aour mukhtalif falsfa haaye fikr O nazar..... blog ko baaqaaidgi se update kiyaa jaaye gaa.... aap ki araa, savaalaat aour tabsira hamaari hoasla afzaai kaa baaic ho gaa

Saturday, March 17, 2007

Iqbal ki hisse zaraafat



Iqbal ko aik falsafi hone k naate mahaz khushk mizaaj na samjhhaa jaaye....

wo aam si soorat ehaal se bhi bohat khoosh gawaar maahaol paidaa kar lene pe qudrat rakhhte thhe......


chooNke bunyaadi toar par punjaabi thhe, lihaazaa punjaabi mein baat karnaa pasand karte thhe...

aik dafa kisi se bahc k doraan unhoN ne poochaa...

punjaabi lafz "" dhudhh"" ( milk) ko urdu meiN duudh keyooN kahaa jaataa hai?????..



javaab milaa

is se lataafat paidaa hoti hai



Iqbal ne istifsaar kiyaa..,


toa phir...

kuttaa ( dog) , ko kuutaa keyoN naheiN kahte??????

No comments: